Tuesday 25 June 2013

Sata sata ke hamen ashkbar karati hai tumhari yaad bahut beqarar karati hai

Usko fursat hi nahi

waqt nikaly Mohsin


Aisy hoty hain bhala
Chahny waly Mohsin

Yaad k dasht me phirta hon
Main nangy paon

Dekh to aa k kabi
Paon k chhaly Mohsin

Kho gai subho ki umeed
or ab lgta hai

Hum nahi hon gay
K jb hon gy ujaly Mohsin

Wo jo ik shakhs
Mtaa-e-dil-o-jan tha

Na raha
Ab bhala kon mery

Dard sambhaly Mohsin...



No comments:

Post a Comment

Comments Please