Sunday, 18 August 2013

Teri aankho ka nasha iss dil pe cha gaya Teri adaon mein na Jane kya tha jo dil ko itna bha gya samjhaya to humne tha bada iss dil ko magar ye nasamjh phir bhi tujhpe aa gaya

Khwab aur haqeeqat main buss ittna farq hota hai

Khwab tutt jate hain, aur haqeeqat todd deti hai






Chal padha hu jamane ke in kathor rasto par 

ab apni baton se main khud hi mukar jata hu



khush the hum bada jub laga ke tumhe aakhir humne bhula diya

shayad nadaniyat thi vo humari jo socha ke iss dil ko humne samjhaya liya

aajtak afsos hai Hume yaaro, usse mehfil ka

do jaam ke uss sailab ne aankho se pani baha diya

ek ehsaas hua tub ke na bhool payenge ab hum tumhe

aur uss ehsaas ne in raho ko phirse unhi rasto par Mila diya






No comments:

Post a Comment

Comments Please