Wednesday, 18 September 2013

Kya Tareef Karoo Unke Husan Ki Khuda Ne Unhe Apne Hattho Se Banaya Hai


Kya Tareef Karoo Unke Husan Ki
Khuda Ne Unhe Apne Hattho Se Banaya Hai
Unke Khoobsurat Cehre Ko
Heere,Motiyon Se Sajaya Hai
Unki Haseen Ankho Main
Samandar Ka Neela Paani Milaya Hai
Unhe Dekh Kar Aisa Lagta Hai
Jaise Khuda Ne Bus Mere Liye Banaya Hai

Resham Si Unki Zulfoon
Hontho Ko Gulab Ke Phoolo Se Sajaya Hai
Chandi Jaisa Unka Badan
Mashallah Khuda Ne Bada Soch Samajh Ke Banaya Hai

Jab Woh Hasti Hai To Phool Khilkhila Uthte Hai
Jab Woh Chalti Hai To Bhawre Gunguna Uthte Hai
Ab Kya Tareef Karu Rahne Bhi Do Yaroo
Hum To Unki Har Ik Adda Par Ghayal Hain

Pehli Hi Nazar Me Unse Pyar Ho Gaya
Jabse Dekha Hai Unhe Unka Deewana Ho Gaya
Neend Gayi Ankho Se Chain Bhi Ganwaya Hai
Mari Hathoo Ki Lakeero Main Unka Naam Hi Samaya Hai

No comments:

Post a Comment

Comments Please